Thursday, March 25, 2010

Hai Nath Abto aise Daya Ho...

hai nath abto aise daya ho, jivan nirathak janena paye. hai nath abto aise saya ho kahi kuch bhi hamko kathin ab lagena,
sahas ki bati kabhi bhi buje na,
visamta, andhera khud bahg jaye,
hai nath abto aise daya ho.....

karne jo aaye vahe ab kare ham,
anmol jivan ko sarthak kare ham,
tujmai hi priti badhtihi jaye,
hai nath abto aise daya ho.....

aisa jagado fir so na paye,
apne ko niskam prami banaye,
aisa samay fir aaye na aaye,
hai nath abto aise daya ho.....

chode kabhi ham na daman tumhara,
tujipe bharosa atal ho hamara,
shradha ko apni nit ham badhaye,
hai nath abto aise daya ho.....

saiyam, sadachar tyage kabhi na,
halke jagse bhage kabhi na,
aab tutke ham bikhar na jaye,
hai nath abto aise daya ho.....

sach-juth ke bhad ko ham samje,
mithiya najaro mai ham na ulje,
hriday se tari yaade na jaye,
hai nath abto aise daya ho...
jivan nirathak janena paye...

No comments:

Post a Comment