Sunday, March 21, 2010

Sukh

Puri jindgi laga ke jo kamate hai voh sath nahi jata par Gurudaware jo aap kamate ho voh sadev sath raheta hai , Guru dware pe aap jiwan ki anmol kamai karte hao voh pa lo use mat gavao , sab lutake bhi yah kama sakte ho to kuch nahi lutaya , par sab kuch kamake bhi agar asli khajana gava diya to samjo sab kuch varth me gava diya bas khajana to khula pada hai jitna lut sakate ho lut lo jitna kama sakate ho kama lo jiwan ki sham hone se pahele apne asli khajane ko pa lo aap sada hai , chetan rup hai giyan rup hai , apne sat sawabhav se hi aapko sukh milta hai bas ushi sukh ko pahechan lo

No comments:

Post a Comment